PART I
Bitcoins Kya hai?
Bitcoins ek Cryptocurrency hai jise log Computer currency ya Digital Gold bhi khete hai. Bitcoins year 2009 me kisi unknown scientist ne bnaya tha. Kuch logo ka man na hai ki us aadmi ya us goup ka nam Satoshi Nakamoto tha. But abhi tak iske creator ke bare me kisi ke bhi pas koi khas aur pukhta jankari nhi hai. Bitcoins me koi bhi middle man ke bina unkown transactions hote hai. Bitcoins transactions karne ke liye bank tak ki jarurat nhi hai. Filhal aap bitcoins ko kafi jagah use kar skte hai jise ki Expedia pe, ya koi freelancing service ke badle, yaha tak ki kuch logo ne apna ghar bhi bitcoins me kharida hai. Aur kuch khabro ke bad bitcoin ki value badhke lagbhag $12,000 USD ho gyi hai. Aur anuman hai ki agle 10 years me 1 BTC yane 1 Bitcoin ki value lagbhag $40,000.00 USD ho jayegi.
Jaise jaise bitcoins collect hinge waise waise inhe mine karna mushkil hota jayega aur bitcoins ki value badhti jayegi. Gold, Diamond ki tarah hi Bitcoins ki supply finite yane thodisi hi hai.
Par jaise bitcoins popular ho raha hai waise hi iske sath Scam, fraud sites aur ponzi schemes badhati ja rhi hai. Isi liye F3 News readers ke liye aajke is special edition me hum aapko Bitcoins ke bare me detail me batana chahte hai.
Bitcoin itna popular kyu ho raha hai?
Bitcoin koi bhi chig anonymously yane bina aapki pehchan bataye kharidne aur bechne ke liye istmal hota hai. Ise phele jyada tar hackers use karte the aur unhi ki wajah Bitcoin jyada charcha me aana shuru hua. But kya Bitcoin ya cryptocurrency sirf galat kamo ke liye istemal hoti hai? Bilkul nhi agar aapk ek view se dekho toh Bitcoin ek bahut accha invention hai, bitcoins se international payments karna bahot hi aasan ho jata hai kyoki ispe koibhi country ya bank ke regulations lagu nhi hote hai. But ye ek bahot bada risk factor bhi hai. Par kuch desh jaiseki Japan, Chaina aur Austrelia bitcoin ke fayde dekh kar isko approved currency bhi banane ke bare me soch rhe hai, aur iske liye kuch regulations bana rhe hai.
Bitcoin store kaise hote hai?
Agar aap bitcoins ko store karna chahte hai toh aapko phele Blockchain.info, coinbase, unocoin jaisi site par jake signup karna hoga. Uske bad aapko ek public address milega jise Bitcoin wallet address bhi kehte hai. Publicly aapke address ke sare transaction view kiye ja skte hai but aapka nam, email id aur sari personal details hidden hoti hai. Par jaiseki hamne aapko phele bhi bataya ki bitcoin kisi bhi regulation me filhal nhi aate hai tooh aapka wallet aur investment bhi tabhi tak secured hai jab tak aapke pc me koi virus attack na ho(agar aap bitcoins local pc pe store kar rhe hai) ya Cloud wallet pe koi DDOS ya hacker ka attack na ho. But filhal 2FA yano Two way authentication, Email Confirmation, Mobile OTP jaise features hone ke karan aapke account filhal toh surakshit hai.
Bitcoins collect karne ke different genuine tarike:
1. Bitcoin Mining
Bitcoin jitne mine hote jayenge utni hi Bitcoin ki value badhegi kyoki jaisa ki hamne aapko phele bataya ki Bitcoin ka supply finite hai. Bar bitcoin ki mining ASIC(Application Specific Integrated Circuit) se hoti hai. Agar aapk Home PC ya koi bhi Normal ya Gaming se bitcoin mine karna chahte hai toh ab ye lagbhag impossible hai kyoki is mining ki complexity level ab bhot jyada hai joki normal PC hardware se solve nhi ho skti. Infact agar aah Antmine S2, S3 jaise high end miner bhi use karte tobhi aap Bitcoin profitably nhi mine kar payenge kyoki appko milne wala Bitcoin Output ye Light Bill aur other Hardware investment se kam hoga. And at the end aapka loss hi hoga.
Lekin agar aap high end miner jaiseki AntMiner s7 ya s9 purchase karte ho toh aapka fayda ho skta hai. Ye miners aapko $1000 – $3500 ki range me milenge. Aap iske alawa in miners se ETH ya Bitcoin Cash or Bitcoin Gold bhi mine karne ki soch sakte hai joki dhire dhire popular ho rhe hai.
2. Bitcoins me charge kare
Agar aap koi freelancing kam karte ho jaiseki blog writing, Web development, Logo design wagera toh aap apne offshore client se bitcoin me charge kar skte hai. Even agar aapki koi E-commerce site hai ya aapko koi donation chahiye wobhi gateway aap apni site me integrate karwa skte hai. Ye gateway bhi normal Paytm, Paypal jaise kam karega.
BitPay jaisi kuch companiyo ne toh ek API bnaya hai jis se aapki Payroll salary direct aapke bitcoin wallet me jama hogi.
3. Bitcoin Purchase kare
Jinhone aajse 7 yeras phele Rs. 10,000 invest kiya tha uski value ab filhal 66 Crore tk ho gyi hai. But filhal Bitcoin ek bubble me hai jiske karan abhi iski value itni badh gyi hai. Jaldhi ye bubble burst hoga aur bitcoin ki value kam ho jayegi. But ye aane wala giraw bhot kam time ke liye aur ache ke liye aayega. Lekin agle 10 years me isko value lagbhagh $40,000.00 ho skti hai.
Lekin filhal bitcoin ki value indian currency ke hisab se Rs. 13 Lac per Bitcoin hai. Toh abhi bitcoin trade karna bacho ka khel toh bilkul bhi nhi hai.
4. Koi aur Crypto currency mine karke bitcoins me Exchange kare
Aap koi currency jaiseki Monero(XMR), fantmocin mine kar skte hai. Filhal ek Monero ki value Rs. 18k hai. Aur ye currency bhi dhire dhire popular ho rhi hai kyoki ye currency aap apne computer sehi mine kar sakte hai. But agar aapko iske jyada benifit chahiye Toh aapko apne friend circle ke sath ek mining pool operate karna hoga. Ya koi Pool ke sath aapka system connect karna hoga jis se aapki ek stable income shuru hogi.
(In Detail Next Part Me)…
Thanks for reading Part 1!
Agar aapko hamara aajka ye special edition pasand aya ho toh please is article ko share kare, comment kare.
Upcoming Parts:
Part 2: More detail about other currency and how to mine it
Part 3: Scams With Bitcoins
Your reaction